nazar uThaun
to sang-e-marmar ki kor be-his
safed aankhen
nazar jhukaun to sher-e-qalin ghurta hai
mere liye is mahl mein aasudgi nahin hai
koi mujhe in safed patthar ke gumbadon se riha kirae
main ek sada hun
magar yahan gung ho gaya hun
mere liye to
unhin daraKHton ke sabz gumbad mein shanti thi
jahan meri baat gunjti thi
Nazm
Sabz se safed mein aane ka gham
Khursheed Rizvi