koi aag piye ki zahr piye
ya sanp Dase ki maut mare
ab dhup ke jal-thal dariya se
koi apne munh mein ret bhare
hum ne to piyala ulaT diya
aur ulaT diya
har ek manzar
jab sham ki aanhken KHun huin
aur budla boTi boTi thi
ye basti zulm ki zulmat mein
tab kachchi dhup chabaati thi
aur dariya piti jati thi
miswak zamin mein gaD di hai
ab raat se raat nikali hai
aur aag mein Dali mast dhamal
aur rakh mein rakh mila di hai
ab KHair ki KHatm hui ummid
ab phanko ret
aur dhup piyo
ya sanp Dase ki maut maro
hum ne to piyala ulaT diya
aur sabr ki chadar tah kar di
Nazm
Sabr ki chadar tah kar di
Faheem Shanas Kazmi