saba ke hath pile ho gae
main saat-e-sarshaar mein
lakhon duaen
KHub-surat aarzuen
pesh karta hun
saba mamnun hai
lekin zaban hai
kuchh nahin kahti
saba ab roz o shab
diwar-o-dar tan par sajati hai
ab aanchal chhat ka sar par oDhti hai
lams-e-farsh-e-marmarin se
panw ki tazin karti hai
wo kohsaron shagufta wadiyon jharnon
chamakte nil-gun aakash ke
naghme nahin gati
saba ab lala-o-gul ki taraf shayad nahin aati
saba shabnam-ada taswir-e-pa-basta
dar-e-rauzan mein aawezan
hasin nazuk badan
raushan munawwar sahilon par ab nahin bahti
saba lab kholti hai muskuraati hai
saba sargoshiyon mein
ab kisi se kuchh nahin kahti
Nazm
Saba ke hath pile ho gae
Balraj Komal