اردو हिंदी
Sab khel-tamasha KHatm hua | Shaahi Shayari
sab khel-tamasha KHatm hua

Nazm

Sab khel-tamasha KHatm hua

Faheem Shanas Kazmi

;

jab sham ki palken tharrain
yaadon ki aanhken bhar aain

har lahr mein ek samundar tha
jo dil ko baha le jata tha

sahil se dur jaziron par
dil bahte bahte Dub gaya

phir raat hui
phir hawa mein aansu ghulne lage

phir KHwabon ki mehrabon mein
main ghar ka rasta bhul gaya

phir sans se pahle maut aai
aur khel-tamasha KHatm hua

main bich gali mein kaise gir kar
TuT gaya