sab din ek jaise nahin hote
kal ka din to aisa nahin tha
jaisa aaj ka hai
har din apni apni gupha mein
chhupa
jab sawere sawere
hum se samna karta hai
to kahta hai
aaj ka din guzaro to jaanen
aur hum
kamar-basta ho jate hain
aaj ke din ke guzarne ko
wo din hum guzar lete hain
aur hum is guzre hue
din ko
pichhe palaT kar dekhte hain
suraj ke sath
Dubte
andhere mein munh chhupate
bahut Thonk kar aaya tha
KHud ko
jaise hamein ye din guzarne na dega
aur giDgiDaenge hum
us ke samne
aur apni gardan jo hum hamesha
akDi rakhte hain
us ke samne jhuka denge
aur apni aankhen
phaTi phaTi kar ke us ke samne iltija karenge
ki aaj ka din waisa hi guzre
jaisa
ek din guzara tha
jaise hum kabhi nahin bhulte
bhale se
sare din aise waise guzarte rahen
hum nahin jhukaenge apni
gardan
aur laga denge is mein
hamesha ke liye
cluff
jo us ke samne hamein
jhukne nahin dega
bhale wo din kitna hi bura guzre
Nazm
Sab din ek jaise nahin hote
Azra Abbas