اردو हिंदी
Saz-e-suKHan bahana hai | Shaahi Shayari
saz-e-suKHan bahana hai

Nazm

Saz-e-suKHan bahana hai

Ada Jafri

;

ghubar-e-subh-o-sham mein
tujhe to kya

main apna aks dekh lun main apna ism soch lun
nahin meri majal bhi

ki laDkhaDa ke rah gaya mera har ek sawal bhi
mera har ek KHayal bhi

main bhi be-qarar o KHasta-tan
bas ek sharar-e-ishq mera pairahan

mera nasib ek harf-e-arzu
wo ek harf-e-arzu

tamam umr sau tarah likhun
mera wajud ek nigah-e-be-sukun

nigah jis ke panw mein hain beDiyan paDi hui