din bhar ke masruf qadam
jab lauT ke ghar ko aate hain
to
apne sath thake shanon par
shal hathon ka bar uThae
bojhal aankhon ki maddham binai le kar
aao aazar sunne ki ek halki si ummid liye
ghar ki dahliz pe ruk jate hain
aur purana darwaza
jab khulta hai to
sab manus dariche banhen phaila kar
in qadmon ki aahaT par
aane wale is paikar ko
sham ki KHamoshi mein ishaare karte hain
kamre ki kursi ke sukun-parwar hain daste
bistar ki ujli chadar hai dost-nawaz
takiye ki narmi mein hamdardi ki garmi
kuT kuT kar bhari hui hai
chaaron or mere kamre mein
KHushbu si hai
jaise tumhaara
ek saya sa
mere sath raha karta hai
Nazm
Saya
Rashid Aazar