kaisa sunsan hai dasht-e-awargi
har taraf dhup hai har taraf tishnagi
kaisi be-jaan hai mai-kade ki faza
jism ki sansani ruh ki KHastagi
is do-rahe pe khoe gae hausle
is andhere mein gum ho gai zindagi
ai gham-e-arzu main bahut thak gaya
mujh ko de de wahi meri apni gali
chhoTa-moTa magar KHub-surat sa ghar
ghar ke aangan mein KHushbu si phaili hui
munh dhulati sawere ki pahli kiran
saeban par amar-bel mahki hui
khiDkiyon par hawaon ki aTkheliyan
rauzan-e-dar se chhanti hui raushni
sham ko halka halka uThta dhuan
pas chulhe ke baiThi hui lakshmi
ek angiThi mein koele dahakte hue
bartanon ki suhani madhur ragni
ras-bhare git masum se qahqahe
raat ko chhat pe chhiTki hui chandni
subh ko apne school jate hue
mere nanhe ke chehre pe ek tazgi
rishte-nate mulaqaten mehmaniyan
dawaten jashn tyauhaar shadi ghami
ji mein hai apni aazadiyan bech kar
aaj le lun ye pabandiyon ki KHushi
Nazm
Saya-e-diwar
Khalilur Rahman Azmi