koyal ki surili tanon par tham tham ke papiha gata hai
hal ho ke hawa ki lahron mein sawan ka mahina aata hai
ThanDi purwa kala baadal barsa to barasta jata hai
bundon ki musalsal choTon se patta patta tharraata hai
aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai
ghanghor ghaTa bijli pani dil sine mein lahraata hai
sahra mein hawa bal khati hai baadal ko saba sankati hai
pani se zamin narmati hai sabzon se faza lahraati hai
rim-jhim rim-jhim tham tham tham tham bundon ki sada jab aati hai
har bund se dil ke taron par ek choT si paDti jati hai
aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai
ghanghor ghaTa bijli pani dil sine mein lahraata hai
badli ke dinon mai-KHwanon mein sahba ki rawani kya kahna
raaton ki sharab-o-shahid se palkon ki girani kya kahna
har waqt suhana kya kahna har raat suhani kya kahna
barsat ke bhige lamhon mein shadab jawani kya kahna
aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai
ghanghor ghaTa bijli pani dil sine mein lahraata hai
rangin gulshan rangi sahra rangi duniya rangi baaten
nache khelen dauDen bhagen raaton jagen nindon maten
kya qahr hai zalim barsaten kya qahr hai zalim barsaten
bhigi duniya bhigi sansen bhige arman bhigi raaten
aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai
ghanghor ghaTa bijli pani dil sine mein lahraata hai
sawan jo chaDha phir baghon aur jhulon ki baaten hoti hain
gulshan ki rangin sairon mein kuchh rangin dhaten hoti hain
jab ahd-e-jawani ki ThanDi ThanDi barsaten hoti hain
matwali umren hoti hain matwali raaten hoti hain
aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai
ghanghor ghaTa bijli pani dil sine mein lahraata hai
Nazm
Sawan
Nushur Wahidi