firdaus banae hue sawan ke mahine
ek gul-ruKH o nasrin-badan o sarw-e-sahi ne
mathe pe idhar kakul-e-zholida ki lahren
gardun pe udhar abr-e-KHiraman ke safine
meinh jitna barasta tha sar-e-daman-e-kohsar
itne hi zamin apni ugalti thi dafine
allah-re ye farman ki is mast hawa mein
hum munh se na bolenge agar pi na kisi ne
wo munis-o-gham-KHwar tha jis ke liye barson
mangi thin duaen mere aaghosh-e-tahi ne
gul-rez the sahil ke lachakte hue paude
gul-rang the talab ke tarshe hue zine
barish thi lagatar to yun gard thi mafqud
jis tarah mai-e-nab se dhul jate hain sine
dam bhar ko bhi thamti thin agar sard hawaen
aate the jawani ko pasine pe pasine
bhar di thi chaTanon mein bhi ghunchon ki si narmi
ek fitna-e-kaunain ki nazuk-badani ne
geti se ubalte the tamanna ke saliqe
gardun se baraste the mohabbat ke qarine
kya dil ki tamannaon ko marbut kiya tha
sabze pe chamakti hui sawan ki jhaDi ne
badli thi falak par ki junun-KHez jawani
bunden thin zamin par ki anguThi ke nagine
shaKHon pe parinde the jhaTakte hue shahpar
nahron mein baten apne ubhaare hue sine
is fasl mein is darja raha be-KHud o sarshaar
maiKHane se bahar mujhe dekha na kisi ne
kya lamha-e-fani tha ki muD kar bhi na dekha
di kitni hi aawaz hayat-e-abadi ne
Nazm
Sawan ke mahine
Josh Malihabadi