main us ko pana bhi chahun
to ye mere liye na-mumkin hai
wo aage aage tez-KHiram
main us ke pichhe pichhe
uftan KHezan
aawazen deta
shor machata
kab se rawan hun
barg-e-KHizan hun
jab main ukta kar ruk jaunga
wo bhi pal bhar ko Thahar kar
mujh se aankhen chaar karega
phir apni chahat ka iqrar karega
phir main
munh toD ke
tezi se ghar ki jaanib lauTunga
apne naqsh-e-qadam roundunga
ab wo dil tham ke
mere pichhe lapakta aaega
naddi nale
patthar parbat phand aa jaega
main aage aage
wo pichhe pichhe
donon ki raftar hai ek jaisi
phir ye kaise ho sakta hai
wo mujh ko ya main us ko pa lun
Nazm
Sathi
Shakeb Jalali