phul ki KHushbu hansti aai
mere basere ko mahkane
main KHushbu mein KHushbu mujh mein
us ko main jaanun mujh ko wo jaane
mujh se chhu kar mujh mein bas kar
is ki bahaaren us ke zamane
lakhon phulon ki mahkaren
rakhte hain gulshan virane
mujh se alag hain mujh se juda hain
main begana wo begane
un ko bikhera un ko uDaya
dast-e-KHizan ne mauj-e-saba ne
bhula-bhaTka nadan qatra
aaankhon ki putli ko sajaane
aansu ban kar dauDa aaya
meri palken us ke Thikane
us ka thirakna us ka taDapna
mere qisse mere fasane
us ki hasti meri hasti
us ke moti mere KHazane
baqi sare gauhar-pare
KHak ke zarre ret ke dane
parbat ki unchi choTi se
daman phailaya jo ghaTa ne
ThanDi hawa ke ThanDe jhonke
be-KHud aawara mastane
apni ThanDak le kar aae
meri aag mein ghul-mil jaane
un ki hasti ka pairahan
meri sans ke tane-bane
un ke jhakole meri umangen
un ki nawaen mere tarane
baqi sare tufanon ko
jazb kiya pahna-e-faza ne
fitrat ki ye gunaguni
gulshan bin wadi virane
kanTe kaliyan nur andhera
anjumanen shamen parwane
lakhon shatir lakhon mohre
phaile hain shatranj ke KHane
jaanta hun main ye sab kya hain
sahba se KHali paimane
bhuki miTTi ko saunpe hain
duniya ne apne nazrane
jis ne mera daman thama
aaya jo mujh mein bas jaane
mere tufanon mein bahne
meri maujon mein lahrane
mere soz-e-dil ki lau se
apne man ki jot jagane
zist ki pahnai mein phaile
maut ki girai ko na jaane
us ka barbat mere naghme
us ke gesu mere shane
meri nazren us ki duniya
meri sansen us ke zamane
Nazm
Sathi
Majeed Amjad