sarban nikle the jis waqt gharon se apne
aashiyanon ko parinde bhi nahin chhoDte jab
raste
raston ki aaghosh hi mein soe the
aur hawa
sabz pahaDon se nahin utri thi
aasman par abhi taron ki saji thi mahfil
sarban nikle the jis waqt gharon se apne
rang KHwabon mein abhi ghulte the
jism mein wasl ki lazzat ka nasha baqi tha
garm bistar mein
gul-e-KHubi pareshan thi abhi
dudh se KHub bhara
ek kaTora tha tipai pe dhara
sarban nikle the jis waqt safar par apne
chaar-su gahri KHamoshi thi
chandni rit ke sine pe abhi soi thi
aur dhire se
saba KHushbuen bikhraati thi
os se bhigi hui
ghas ki har patti jhuki jati thi
raat ke nil mein kuchh nur ghula jata tha
ye jahan aaina-KHana sa nazar aata tha
sarban gahri KHamoshi mein gharon se nikle
lau charaghon ki unhen jhankti thi
dhul qadmon se lipaTte hue ye kahti thi:
tum kahin jao na abhi
sae ashjar se raston pe utar aae the
dar-o-diwar KHamoshi se the fariyaad-kunan
thin jugali mein magan unTniyan
ghanTiyan jagti thin
lazzat-e-wasl se madhosh hawa jagti thi
pankhuDi honTon pe KHamosh dua jagti thi
chaar-su gahri KHamoshi thi
faza jagti thi
sarban nikle the jis waqt safar par apne
Nazm
Sarban
Faheem Shanas Kazmi