nahin ye ahd aur hai saqi
ahl-e-europe ka daur hai saqi
ki hai koshish unhon ne KHatir-KHwah
pai hai muddaton mein hind ki rah
kar ke zahmat jo aae itni dur
mahz tarwij-e-baada thi manzur
jo musalman hain ummat-e-angrez
mai-kashi se unhen nahin parhez
baada-KHwari ka shaghl ghar ghar hai
aur taDi to shir-e-madar hai
pahle pasi chamar pite the
mardum-e-be-waqar pite the
ab to ahl-e-ulum pite hain
mahiyan-e-rusum pite hain
Nazm
Saqi nama
Nazm tabaa-tabaa.ii