meri masti mein bhi ab hosh hi ka taur hai saqi
tere saghar mein ye sahba nahin kuchh aur hai saqi
bhaDakti ja rahi hai dam-ba-dam ek aag si dil mein
ye kaise jam hain saqi ye kaisa daur hai saqi
wo shai de jis se nind aa jae aql-e-fitna-parwar ko
ki dil aazurda-e-tamiz-e-lutf-o-jaur hai saqi
kahin ek rind aur wamanda-e-afkar tanhai
kahin mahfil ki mahfil taur se be-taur hai saqi
jawani aur yun ghir jae tufan-e-hawadis mein
KHuda rakkhe abhi to be-KHudi ka daur hai saqi
chhalakti hai jo tere jam se us mai ka kya kahna
tere shadab honTon ki magar kuchh aur hai saqi
mujhe pine de pine de ki tere jam-e-lalin mein
abhi kuchh aur hai kuchh aur hai kuchh aur hai saqi
Nazm
Saqi
Asrar-ul-Haq Majaz