sanwle jism ki har qaus mein lahraata hai
muskuraati hui shamon ka salona jadu
raqs karti hai tere husn ki ranai mein
wadi-e-najd ke jhonkon ki lajili KHushbu
ye tere dosh pe bal kha ke bikharti zulfen
jaise mabad mein sulagte hue sandal ka dhuan
jaise maghmum musawwir ke siyah-posh KHayal
jaise mauhum jaziron ki chhabeli pariyan
tu wo barsat ki ghanghor ghaTa hai jis mein
ek kaifiyat naghmat chhupi baiThi hai
dudhiya husn se ukta ke meri nazron ne
jab bhi dekha hai tere rang ka bharpur nikhaar
gunj uThi zehn mein uDte hue bhanwaron ki sada
rach gai ruh mein gati hui koyal ki pukar
kaun hai jis ne tera zikr na chheDa ho kabhi
ab to har bazm ka hai ek hi mauzu-e-suKHan
koi deta hai laqab laila-e-be-mahmil ka
koi kahta hai tujhe pyar se kali nagin
kaun sa lafz tere waste ijad karun
sochta hun tujhe kis nam se main yaad karun
Nazm
Sanwli
Qateel Shifai