اردو हिंदी
Sanp | Shaahi Shayari
sanp

Nazm

Sanp

Zeeshan Sahil

;

ek sanp ko
main ne titli bana diya

aur ek kanTe ko
tabdil kar diya phul mein

band gali ke aaKHiri sire par
jo diwar thi

main ne use
shahr ki taraf khulne wala

darwaza bana diya
zahr ke dariya ko

main ne rakh diya
shahd ki botal mein

aur chhupa diya
us ki nazron se bhi

us ki taswir ko
jise main apna aaina samajhta tha

us ke baad
jab wo aai aur dohrane lagi

wo lafz
jo kabhi us ke liye be-asar tha

aaj us ek lafz ka
mujh par koi asar hi nahin hua

main to
use pahchan hi na saka

yaad bhi na rakh saka
sanp ko