ek sapera meri gali mein aa nikla kal sham 
us ki aankhen chamkili thin aur aankhen sangin 
lekin ras mein bhige naghme chheD rahi thi bin 
naghme jin mein jag rahe the duniya ke aalam 
us ke gale mein sanp paDa tha jaise koi haar 
us ne gale se sanp utara aur kaha ki jhum 
miTTi chaT ke pyar se babu-ji ke panw chum 
sanp ne mujh ko jhum ke chumna chaha jo ek bar 
main ghabra ke pichhe haTa aur main ne kaha nadan! 
sanp ki patthar toD ke rakh de jis ka zahri war 
sanp ko kaun sikha sakta hai insanon se pyar 
is ko neki aur badi ki kya hogi pahchan 
hans ke sapera bola babu mujh se ho gai bhul 
tum jo ek duje ke gale par rakhte ho talwar 
tum shahron ke basi kya samjhoge kya hai pyar 
mere liye ye sanp hain mere sundar ban ke phul 
mathe par ye kanTha dekho jaise koi taj 
ye raja hain par nahin pite kamzoron ka KHun 
ye nahin marte ek duje ke KHemon par shab-KHun 
ye nahin luTte apni maon aur bahnon ki laj 
ye nahin Dasne wale in par Dal ke dekho hath 
KHush-qismat ho aur tumhaare achchhe hain haalat 
tum insan-gazida ho kar samjhoge ye baat 
insanon ka sath bura hai ya sanpon ka sath
        Nazm
Sanp sapera aur main
Sahba Akhtar

