اردو हिंदी
Sanp ka saya Khwab mere Das jata hai | Shaahi Shayari
sanp ka saya Khwab mere Das jata hai

Nazm

Sanp ka saya Khwab mere Das jata hai

Hanif Tarin

;

kitni dafa to
baDha, ruka main us ki jaanib

sadiyon wo mahka kar mera zahir o baatin
kai yugon tak, us ne mujh ko yaad kiya

aur kaha ye, naddi hun main
naw bano tum Dolo mujh par

jhum uTho tan ki chandi sona pa kar
lekin mere jism ke virane se koi

har dam mujh ko tak raha hai
tan se aage

man-nagri mein jhank raha hai
nind nashe ke

gyan dhyan mein san raha hai
sar se qadam tak tan raha hai