sanp! aa kaT mujhe eDi par
main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun
shahr ke unche makanon pe chamakta suraj
mujh se kahta hai ki tu nanga hai
aur meri ruh mujhe kahti hai
jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar
mujh ko ehsas hai main nanga hun
subh ke nur ke manind mujhe
koi malbus azal se na mila
sabz patton ne sahaara na diya
sanp! aa kaT mujhe
baKHsh de maut ka malbus mujhe
dekh ab jism mera
din ki garmi se jhulasta hai kabhi
aur phir raat ki sardi se TheThurta hai kabhi
aur meri ruh mujhe kahti hai
jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar
sanp! aa kaT mujhe eDi par
aur mere jism ko ghulta hua tanba kar de
subh ka nur jise dekh ke sharma jae
aur meri ruh kahe
ab tujhe maut nahin aaegi
main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun
Nazm
Sanp! aa kaT mujhe
Gauhar Naushahi