kaun gustaKH hai kya nam hai kyun aaya hai
pahre walo use KHanjar ki ani se roko
apni banduqon ki nali se Darao us ko
aur us par jo na mane use topon ki salami de do
jashn ka din hai meri salgirah ka din hai
aaj mahlon mein jalenge mah-o-anjum ke charagh
aaj bujhte hue chehron ki zarurat kya hai
aaj mayus nigahon ki zarurat kya hai
kaun bebak hai baDhta hi chala aata hai
pahre walo use KHanjar ki ani se roko
aadmi hai ki mera wahm hai aaseb hai ye
us ke chehre pe to zaKHmon ke nishan tak bhi nahin
goliyan us ke siyah sine se Takra ke chali aati hain
us ke honTon pe tabassum hai ki munh khole hue
azhdaha taKHt nigalne ko chala aata hai
maut kis bhes mein aai hai mujhe lene ko
aaj kyun aai hai kyun aai hai kyun aai hai
main tujhe gauhar-o-almas diye deta hun
tere ThiThure hue hathon ko hararat dunga
jashn ka din hai meri salgirah ka din hai
kaun ho kaun ho tum
ai gharibon ke KHudawand amiron ke rafiq
main samajhta tha mujhe aap na pahchanenge
main ne angrez ki jailon mein jawani kaTi
main ne ThiThure hue hathon se jalae hain diye
jin ki lau aaj bhi tufanon se Takraati hai
jin ko angrez ki phunkon ne bujhana chaha
aur KHud un ki zaban jal ke siyah-fam hui
wo diye aaj bhi bar-laun ki chiKHon se laDe jate hain
aap ko yaad na hoga shayad
kaun ho kaun ho tum
main ne tariKH ki lahron mein rawani de di
main ne buDhon ki rag-o-pai mein jawani de di
main ne jhukte hue shanon ko tawanai di
kar-KHane meri aawaz se bedar hue
aur ek meri hi aawaz nahin gunji thi
saikDon waqt se haare hue insan uThe
kuhra-e-waqt pe chhane ke liye
kaun ho kaun ho tum
auraq mein hi nahin aaya hun
saikDon waqt ke mare hue insan bhi hain
saikDon waqt pe chhae hue insan bhi hain
kaun ho kaun ho tum
aaj bhi ketiyon mein bhuk uga karti hai
kar-KHanon mein dhuen ke baadal
tauq aur aahani zanjiron mein Dhal jate hain
kaun ho kaun ho tum
aap insan ki azmat pe yaqin rakhte hain
aap ke hukm ne kitnon ki zabanen si din
aap ki mumlikat adl mein kitne bimar
qaid-e-tanhai mein dam toD chuke
kaun ho kaun ho tum
aap ki beDiyan afrad ko paband bana sakti hain
aap ki beDiyan insan ko paband nahin kar saktin
kal yahi shama jo sine mein farozan hai aaj
aap ke sare tilismat jala Dalegi
kal unhin kheton mein ujDe hue khaliyanon mein
sal-ha-sal ki pamal zamin
apne sine ke KHazanon ko luTati hogi
kar-KHane bhi siyahkar KHudaon se rihai pa kar
lakhon insanon ki taskin ka saman honge
ek nae ahd nai zist ka unwan honge
aur phir waqt ka bebak moarriKH aa kar
surKH parcham ko salami dega
kaun ho kaun ho tum
bhaardwaj
Nazm
Salgirah
Akhtar Payami