dam-e-umr-e-rawan ka daera
rukta hai ek lamhe pe shayad har baras
wo meri paidaish ki saat hai
tumhaari ya hamare nanhe bachchon ki
hamare rishta-e-indraj mein
ya shoala-e-gul se
munawwar ghair-rasmi ajnabi wabastagi ki
jo rag-o-pai mein musalsal ho gai
main rokta hun bewafa lamhe ko
paiham sinchta hun KHun se is ko
darida ungliyon se
kaT kar us ko khilata hun main dil ka KHosha-e-nazuk
magar ye tair-e-raana
pareshan faslon ke nur ka rasiya
zaminon aasmanon aur KHalaon
se bhi shayad mawara hai
muKHtasar se jashn par hansta hua
har sarhad-e-imkan se meri tirgi se
dur jata hai
falak ki raushni ki
wadiyon mein
muntazir hai
koi an-jaana anokha KHubsurat ajnabi us ka
Nazm
Salgirah
Balraj Komal