duaen aur duaon se bhari
be-ant tahriren
mujhe har sal ke in aaKHiri
lamhon mein milti hain
mere ahbab ke namon mein
aksar darj hota hai
KHuda mahfuz rakkhe
sal bhar mujh ko balaon se
mujhe zahr ab main lipTi hawaen
chhu ke na guzrin
mujhe maujud aur aane wale
sal ke lamhe
mubarak dar mubarak hon
yahi tahrir main ahbab ko
wapas luTata hun
yahi jazbaat mere doston
ke nam hote hain
magar phir waqt ke hathon
na jaane kya guzarti hai
ki jo bhi tir aata hai
usi jaanib se aata hai
jahan se itr mein Duba hua
paigham aaya tha
jahan se sal bhar
mahfuz rahne ka
hasin malfuf
mere nam aaya tha
Nazm
Sal nau ke liye ek nazm
Iqbal Naazir