sal ki aaKHiri shab
mere kamre mein kitabon ka hujum
pichhli raaton ko tarashe hue kuchh mah o nujum
main akela mere atraf ulum
ek taswir pe bante hue mere KHad-o-KHal
in pe jamti hui gard-e-mah-o-sal
ek hayula sa pas-e-shahr-e-ghubar
aur mujhe jakDe hue KHud meri bahon ke hisar
koi rauzan hai na dar
so gae ahl-e-KHabar
sal ki aaKHiri shab
na kisi hijr ka sadma na kisi wasl ka KHwab
KHam hone ko hai bas aaKHiri lamhe ka shabab
aur ufuq par dhundlakon se kahen
khulne wala hai nai subh ka bab
is nai subh ko kya nazr karun
har taraf phaila hua tez hawaon ka fusun
aur main sochta hun
dar-o-diwar mein lipTe hue sahme hue log
gali-kuchon mein nikalte hue ghabraate hue
main unhen kaise bataun ki yahi mausam hai
jab parindon ke par-o-baal nikal aate hain
Nazm
Sal ki aaKHiri shab
Saleem Kausar