waqt ki baat hai har ghuncha-e-sar-basta magar
waqt kya chiz hai paimana-e-be-saKHta hai
ye shab-o-roz jawani ye mah-o-sal rawan
ruh kyun jism ke aage siper-andaKHta hai
shaKH dar shaKH nazar aati hai jine ki umang
chor ki tarah sarakti hai ragon mein koi aag
sochne ke liye shayad ye mah-o-sal nahin
ai mere dida-e-be-KHwab mohabbat se na bhag
husn ki aag ghanimat hai ki is se pahle
rag-e-ayyam thi ek ju-e-fasurda sar-e-sham
sab isi aag ka indhan hain guzarne wale
ek hi larzish-e-sad-rang ka partaw hai tamam
Nazm
Sal-girah ki raat
Mahboob Khizan