ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai
tasawwur ek nae ehsas ki jannat mein le aaya
nigahon mein koi rangin chehra muskuraata hai
jabin ki chhuT paDti hai falak ke mah-paron par
ziya phaili hui hai sara aalam jagmagata hai
shafaq ke nur se raushan hain mehraben fazaon ki
surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
zamin ne phir nae sar se naya raKHt-e-safar bandha
KHushi mein har qadam par aaftab aankhen bichhata hai
hazaron KHwahishen angDaiyan leti hain sine mein
jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai
umiden Dal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain
zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai
masarrat ke jawan mallah kashti le ke nikle hain
ghamon ke na-KHudaon ka safina Dagmagata hai
KHushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta hun
masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai
hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghaTti jati hai
ghulami ke zamane mein izafa hota jata hai
yahi andaz gar baqi hain apni sust-gami ke
na jaane aur kitne sal aaenge ghulami ke
Nazm
Sal-e-nau
Ali Sardar Jafri