ab raat Dhal rahi hai koi do ka waqt hai
aankhon mein nind jhul rahi hai abhi talak
lekin main sal-e-nau ke liye jagta rahun
ummid ke charagh jalaun nae nae
baiTha hun KHamushi ki nawaon ko chheD kar
apne ghamon se aaj bhi fursat nahin mujhe
palkon pe aaj bhi to larazte hain ye diye
lekin unhin ghamon se naya aastan bana
wajh-e-sukun hai aaj KHayal-e-gurez-pa
TuTe hue dilon ko sahaara bhi de saka
jab dil ki dhaDkanon se mile dars-e-agahi
phir kis liye junun mein koi intishaar ho
na-kaamiyan hayat ki sharma na jaengi
is des ki fazaon se gar hum ko pyar ho
in mai-kadon se kal bhi na tha mujh ko wasta
jin mein lahu ke jam uThate hain hukmaran
ehsas ki nigah magar dekhti hai ab
kuchh aur tez-gam hua karwan-e-shauq
aur sal-e-nau bhi sath isi karwan ke hai
in jhonpaDon mein aaj charaghan nahin to kya
do-chaar sal aur bhi imkan nahin to kya
fasl-e-bahaar aaegi jhumengi Daliyan
phulon mein pat pat mein rangat samaegi
honge kabhi to jam-ba-kaf KHas-o-am sab
har har nigah saghar-o-mina uThaegi
zulf-e-hayat shauq se parcham uDaegi
main aaj sal-e-nau ke liye jagta rahun
ummid ke charagh jalaun nae nae
Nazm
Sal-e-nau
Anjum Azmi