KHansaman hai musir har shab chikan banwaiye
haziri par hazir o ghaeb TamaTar khaiye
jeb kahti hai chhuri kanTe faqat khaDkaiye
lunch pe shaljam dinner mein tauriyan farmaiye
matbaKHon mein bue-jue-muliyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
khurdure polish se KHasta boot chamkaenge kya
taKHt-poshi darziyon se suiT sil jaenge kya
hum ne ye mana ki dilli mein rahen khaenge kya
biwiyon ko koi samjhae ki samjhaenge kya
baj rahi hain jin ki KHali chuDiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
mil gaya bangla muqaddar se to hariyali nahin!
hazrat wala ne kutti ghas tak pali nahin
is bayaban mein koi buTa nahin Dali nahin
aah ye koThi ki viran hai magar KHali nahin
luT gae sab is ke gamle gamliyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
leaderi ka shauq zauq-e-mina-bazari bhi hai
ghar ki majburi bhi jym-KHane ki lachaari bhi hai
film par tanqid farmane ki bimari bhi hai
har ada begam ki mahngi hai magar pyari bhi hai
ishq aur andesha-e-sud-o-ziyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
walid-e-majid ka tanz-e-talKH-o-paiham aur hum
mamta ka dida-e-bedar pur-nam aur hum
mustaqil ruThi hui begam ki bam-bam aur hum
ghar mein hai phaili hui aulad-e-adam aur hum
sargiran hain jin ki maili Topiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
ho chuke hain jab se nainital o dehradoon band
box mein hain jodhpuri coat aur patlun band
saghar o mina mein ajmal-KHan ki majun band
subh ke mazmun sakit sham ke shab-KHun band
jao jamuna par bajao ghanTiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
yaad-e-ayyame ki bazaron mein arzani bhi thi
nau-e-insani mein kuchh taufiq-e-nadani bhi thi
naukri mein bandagi to thi sulaimani bhi thi
din ki mehnat thi magar raaton ki sultani bhi thi
ai mere dil! Tan-Tanan! ai meri jaan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
Nazm
Sahab ki bipta
Syed Zameer Jafri