kisi sae ka naqsh gahra nahin hai
har ek saya ek aankh hai
jis mein ishrat-kadon na-rasa KHwahishon
an-kahi dil-nashin dastanon ka mela laga hai
magar aankh ka sehr palkon ki chilman ki halki si jumbish hai
aur kuchh nahin hai
kisi aankh ka sehr daim nahin hai
har ek saya
chalti hawa ka pur-asrar jhonka hai
jo dur ki baat se
dil ko bechain kar ke chala jaega
har koi jaanta hai
hawaon ki baaten kabhi der tak rahne wali nahin hain
kisi aankh ka sehr daim nahin hai
kisi sae ka naqsh gahra nahin hai
Nazm
Sae
Muneer Niyazi