اردو हिंदी
Sae ki pisli se nikla hai jism tera | Shaahi Shayari
sae ki pisli se nikla hai jism tera

Nazm

Sae ki pisli se nikla hai jism tera

Adil Mansuri

;

sae ki pisli se nikla hai jism tera
boson ka gila-pan lafzon ke honTon par

aawazen chalti hain hathon mein hath liye
kanTon ne lamhon ke KHwabon ko noch liya

hathon mein talwaren le kar wo aae the
aae the kaT gae mani ke nak aur kan

TuTa hai KHun kahin Duba hai aks kahin
sahra ki chhati par suraj ka raqs kahin

sae ki pisli se nikla hai jism tera