اردو हिंदी
Sae ka iztirab | Shaahi Shayari
sae ka iztirab

Nazm

Sae ka iztirab

Sarwat Zehra

;

aaj tum tak pahunch kar
tumhaari aankhon ke aainon mein jhank kar

KHud ko TaTola
to malum hua ki

mera jism to tum tak aate aate
kahin bich raste mein gum ho gaya tha

mera dil!!
kisi aur sine mein daba diya gaya tha

mere honT
surKHiyon ki tahon ke niche

paDe paDe siyah ho chuke the
meri KHushbu

jo main tumhaare liye la rahi thi
kisi pichhle jhonke ne

apne jism mein Tank li thi
mera KHwab

apni raat ki kokh mein
ghalati se kisi aur ke liye

subh ka pahla harf rakh chuka tha
mere qalam ki raushnai ko

lafz ka ek samundar pi chuka tha
aur meri aankhon ki putliyon mein nachti raushni ki

kisi sarab se dosti ho chuki thi
aur ab wo shayad isi ke sath bah rahi hai

so ab tumhaari aankhon ke aainon mein
main nahin

sirf ek sae ka iztirab
Dolta nazar aa raha hai