aisi raaten bhi kai guzri hain
jab teri yaad nahin aati hai
dard sine mein machalta hai magar
lab pe fariyaad nahin aati hai
har guna samne aa jata hai
jaise tarik chaTanon ki qatar
na koi hila-e-tesha-kari
na madawa-e-farar
aisi raaten bhi hain guzri mujh par
jab teri rahguzar mein sae
har jagah chaar taraf the chhae
to na thi teri tarah ke sae
sae hi sae the larzan larzan
kabhi aae kabhi bhage kabhi bhage kabhi aae
sae hi sae the teri rahguzar ke sae
aisi raaten bhi hain guzri mujh par
jab teri yaad nahin aati hai
lab pe fariyaad nahin aati hai
Nazm
Sae
Mohammad Deen Taseer