اردو हिंदी
Saat-e-aghaz ki be-manawiyyat | Shaahi Shayari
saat-e-aghaz ki be-manawiyyat

Nazm

Saat-e-aghaz ki be-manawiyyat

Mohammad Anvar Khalid

;

sari be-manawiyyat saat-e-aghaz mein thi
jab hawa garm hui

saebani ke liye dhup mein ek patthar tha
safar aaghaz kiya

raat aasab-shikan lai thi bistar pe use
wo bhi diwar bana jis pe giri thi diwar

koi dam baiTh liye
phir safar aaghaz kiya

dil ne chaha tha ki ro len magar ab kya rona
dauD ki aaKHiri had par bhi koi rota hai

han magar wo jo abhi saat-e-aghaz mein hai
dauD ki aaKHiri had jis ke liye raaz mein hai