chamak sake jo meri zist ke andhere mein
wo ek charagh kisi samt se ubhar na saka
yahan tumhaari nazar se bhi dip jal na sake
yahan tumhaara tabassum bhi kaam kar na saka
lahu ke nachte dhaare ke samne ab tak
dil-o-dimagh ki bechaargi nahin jati
junun ki rah mein sab kuchh ganwa diya lekin
mere shuur ki aawargi nahin jati
na jaane kis liye is intiha-e-hiddat par
mera dimagh sulagta hai jal nahin jata
na jaane kyun har ek ummid lauT jaane par
mere KHayal ka lawa pighal nahin jata
na jaane kaun se honTon ka aasra pa kar
tumhaare honT meri tishnagi ko bhul gae
wahi usul jo mohkam the narm sae mein
zara si dhup mein nikle to jhul jhul gae

Nazm
Ruh ki maut
Mustafa Zaidi