raat tak jism ko uryan rakhna
chand nikla to ye sahra ki sulagti hui ret
sard ho jaegi barsat ki shamon ki tarah
barf ho jaega jism
phir KHunuk-tab hawa aaegi
teri peshani ko chhu jaegi
aur pasine ki ye nannhi bunden
ho ke tahlil fazaon mein bikhar jaengi
ret ke Tilon se Takraengi
ret ke Tile hawaon ki nami chaTenge
ret ke Tilon ki tishna-dahani
aur bhaDak uTThegi
jab hawa dasht se aage nikli
patte patte ko jhulas jaegi
par jahan tu hai wahan
sard ho jaega zarra zarra
barf ho jaega jism
magar ek ruh ki aag
jis ko barsat ki shamon ne hawa di barson
chand ki zard shuaon se bhaDak uTThegi
Nazm
Ruh ki aag
Shahzad Ahmad