اردو हिंदी
Ruh ka sitara | Shaahi Shayari
ruh ka sitara

Nazm

Ruh ka sitara

Shabbir Shahid

;

sitare
tu ne dekhi hai faza sare zamanon ki

sune hain tu ne
jo pahli hawa ne git gae the

tujhe malum hai
talab par kab hans utre the

yahan jab nur tha
aur nur ke shaffaf sae the

tere sine pe raushan hai haqiqat sab fasanon ki
kahan hai kuchh bata mujh ko

wo malika dastanon ki
kahan hai sufiya wo raushni un aasmanon ki

sitare
tu ne dekhi hai faza sare zamanon ki