zaKHmon ke ambar, dar-o-diwar bhi
sune lagte hain
KHushiyon ke dariya mein itni choT lagi
ki ab is mein chalte rahna dushwar hua
saDkon par chalte phirte shadab se chehre sukh gae
wo mausam jis ko aana tha, wo aa bhi gaya
aur chha bhi gaya
ashjar ke nile goshon se ab zahr sa rista rahta hai
gulzar KHizan ke shoalon mein har lamha sulagta rahta hai
is KHwab-e-pareshan mein kab tak
is ruh-e-aziyyat-KHuda ko tum qaid rakhoge
chhoD bhi do!
is ruh-e-aziyyat-KHuda ko
Nazm
Ruh-e-aziyyat-KHurda
Paigham Aafaqi