hamein ab tak teri kuchh bhi na kahne wali aankhon se ye shikwa hai
jo kamsin KHwab in aankhon mein manzar kaDhte the
wo kabhi tere labon ke phul bante aur hamare
daman-e-izhaar mein khilte
hamein in muskuraate chup labon se bhi shikayat hai
hamare sher sun kar khilkhilate the magar kuchh bhi na kahte the
na jaane aise lamhon mein teri sochon pe kya kya rang aate the
tujhe hum se chhupane ke
bhi to sab Dhang aate the
hamein teri mohabbat se bhi shikwa hai
samundar jaisi gahri thi
magar aankhon ke chhagal se chhalakti thi jo hum aise
faqiron ke dilon par is tarah barsi
ki hariyali ne ghar aur dasht ki pahchan se
begana kar ke rakh diya
hum ko ye duniya sirf tere husn ki tajsim lagti thi
so hum bhi aur hamare KHwab bhi aankhen bhi chehra bhi
sabhi kuchh teri KHatir tha
magar teri mohabbat ne
hamein is chup chapne khel mein jo dukh diye
ab tak unhen teri sarab aankhon se
aaina misal ek guftugu ki aarzu hai ru-ba-ru jaanan
Nazm
Ru-ba-ru jaanan
Ayub Khawar