اردو हिंदी
Ru-ba-ru-e-marg | Shaahi Shayari
ru-ba-ru-e-marg

Nazm

Ru-ba-ru-e-marg

Akhlaq Ahmad Ahan

;

maut se kyun Darun main aaj bhala
maut to zindagi ki wusat hai

jis mamat se Darte hain log
wo to pa chuka tha bahut pahle main

mere armanon ki maut
mere jazbaat ki maut

apnon se mulaqat ki maut
in sare mahakat ki maut

kaun roega bhala is kamin ki khatiya par
mar gaya tha un ke liye ek ahd hi pahle

sab mujhe chhoD chale chhoD chale chhoD chale
ab kahin se KHabar nahin aati

apni yasin KHud hi paDh lunga