zaKHm phir hare hue
phir lahu taDap taDap uTha
andhe raston pe be-takan uDan ke liye
band aankh ki bahisht mein
sab dariche sab kiwaD khul gae
aur phir
apni KHalq ki hui basit kaenat mein
dhund ban ke phailta simaTta ja raha hun main
KHuda-e-lam-yazal ke sans ki tarah
mere aage aage ek hujum hai
jis ko jo bhi nam de diya wo ho gaya
mere waste se sab ke silsile
bandhe hue hain sab ki maut zindagi
mere waste se hai
zamin o aasman ke bich
jis ko bhi panah na mil sake
wo aae mere sath sath
muntazir hai aaj bhi
faza jo lafz lafz par muhit hai
amiq aur basit hai
mujhe bhi aaj tak na mil saka
tamasha-gah-e-roz-o-shab ka bij
apne taur par
nae sire se jis ko bo sakun
kahan ke silsile
kaise waste
ragon mein sirf is qadar lahu bacha hai
pankh pankh mein
kuchh hawa sameT kar
aaKHiri uDan bhar sakun
be-muhaba soch
aandhiyon si soch mein
sarf ho raha hun main
har thapeDa mere naqsh chaT chaT kar
dhund ban raha hai
dhund gahri ho rahi hai
guzarte waqt se main juD raha hun
juD gaya hun
apna kaam kar chuka hun
Nazm
Rustagari
Qazi Saleem