اردو हिंदी
Rustagari | Shaahi Shayari
rustagari

Nazm

Rustagari

Hamidi Kashmiri

;

pahli chiKH tawallud hone ki
charKHe se uljhi ammi ke baalon ki sapedi

honTon par larzan harf-e-shahadat
rit ke jhakkaD mein

bikharte titli ke rang
qabron mein girte amboh-e-kawakib

pichha karte hain!
us din

jhil ke aaine mein
apne jism ko dekha tha

ab har malbus mein
uryan hone ki lachaari hai

main KHud se hi
bhag raha hun

mujh ko roko zanjir karo
aadab-e-rah-o-manzil se

begana hota jata hun!