1
jab aankh khol ke dekha to ho gaya mastur
ye mera dida-e-bina hi ek hijab hua
tu chhup gaya mah o anjum mein lala-o-gul mein
har ek jalwa-e-rangin tera naqab hua
jab aankh band hui tu hi jalwa-ara tha
2
meri zaban khuli sharh-e-ashiqi ke liye
mera bayan tha muraqqa meri KHajalat ka
har ek harf mein tha ghairiyat ka afsana
meri zaban ne kiya KHun meri mohabbat ka
mere sukut mein tufan-e-ishq barpa tha
3
mere hawas rahe tere wasl mein hail
jo be-KHudi mein hua gharq tu mila mujh ko
ajib shai hai mohabbat mein KHud-faramoshi
fana hua to mili lazzat-e-baqa mujh ko
mera wajud hi ai dost ek parda tha
Nazm
Rumuz-e-mohabbat
Asar Sahbai