main ne inTerwiew kiya kal ek roza-KHor se
main zaban se bolta tha wo shikam ke zor se
main ne puchha aap ne roza ye kyun rakkha nahin
peT dikhlane laga bola ki yun rakha nahin
roza yun rakkha nahin chalti nahin baad-e-saba
mausam-e-garma mein roze aae hain is martaba
job karni hai zaruri kaam karna hai mujhe
cock pizza ke sahaare sham karna hai mujhe
main ne lassi ke gilason mein piya kuchh aur hai
dopahar mein murgh khane ka maza kuchh aur hai
din mein khane ke liye iqrar kar leta hun main
sham ko masjid mein bhi iftar kar leta hun main
koi shai khate hue main ne chhupai hi nahin
aaj tak meri hui roza-kushai hi nahin
roza-KHori par meri duniya ko hairani nahin
roza yun rakkha nahin bijli nahin pani nahin
main jo be-roza hun ye bhi tajiron ka zarf hai
sau rupe ujrat hai meri sau rupe ka barf hai
ruh-afza ke bina duniya ki huren rah gain
roza-daron ke liye sukhi khajuren rah gain
roza yun rakkha nahin ho jaega khana KHarab
lunch par aaegi kal hotel mein rashk-e-mahtab
main hun shaer mehrban hai mujh pe KHallaq-e-azal
pesh karni hai mujhe mahfil mein ek taza ghazal
ajr-e-roza kya hai ye sheron mein batlaunga main
lunch main iftar ki tashrih ban jaunga main
bhuk aur shaer ka chun-ki choli-daman ka hai sath
mujh se baDh ke jaanta hai kaun roza ki sifat
pandrah ghanTe ka roza har jawan o pir ka
sham karna subh ka lana hai ju-e-shir ka
Nazm
Roza-KHor se inTerwiew
Khalid Irfan