jab aadmi ke peT mein aati hain roTiyan
phuli nahin badan mein samati hain roTiyan
aankhen pari-ruKHon se laDati hain roTiyan
sine upar bhi hath chalati hain roTiyan
jitne maze hain sab ye dikhati hain roTiyan
roTi se jis ka nak talak peT hai bhara
karta pare hai kya wo uchhal kud ja-ba-ja
diwar phand kar koi koTha uchhal gaya
ThaTTha hansi sharab sanam saqi is siwa
sau sau tarah ki dhum machati hain roTiyan
jis ja pe hanDi chulha tawa aur tanur hai
KHaliq ki qudraton ka usi ja zuhur hai
chulhe ke aage aanch jo chalti huzur hai
jitne hain nur sab mein yahi KHas nur hai
is nur ke sabab nazar aati hain roTiyan
aawe tawe tanur ka jis ja zaban pe nam
ya chakki chulhe ke jahan gulzar hon tamam
wan sar jhuka ke kije DanDwat aur salam
is waste ki KHas ye roTi ke hain maqam
pahle inhin makanon mein aati hain roTiyan
in roTiyon ke nur se sab dil hain bor bor
aaTa nahin hai chhalni se chhan-chhan gire hai nur
peDa har ek us ka hai barfi o moti chur
hargiz kisi tarah na bujhe peT ka tanur
is aag ko magar ye bujhati hain roTiyan
puchha kasi ne ye kisi kaamil faqir se
ye mehr-o-mah haq ne banae hain kahe ke
wo sun ke bola baba KHuda tujh ko KHair de
hum to na chand samjhen na suraj hain jaante
baba hamein to ye nazar aati hain roTiyan
phir puchha us ne kahiye ye hai dil ka tur kya
is ke mushahide mein hai khulta zuhur kya
wo bola sun ke tera gaya hai shuur kya
kashf-ul-qulub aur ye kashf-ul-qubur kya
jitne hain kashf sab ye dikhati hain roTiyan
roTi jab aai peT mein sau qand ghul gae
gulzar phule aankhon mein aur aish tul gae
do tar niwale peT mein jab aa ke Dhul gae
chaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul gae
ye kashf ye kamal dikhati hain roTiyan
roTi na peT mein ho to phir kuchh jatan na ho
mele ki sair KHwahish-e-bagh-o-chaman na ho
bhuke gharib dil ki KHuda se lagan na ho
sach hai kaha kasi ne ki bhuke bhajan na ho
allah ki bhi yaad dilati hain roTiyan
ab aage jis ke mal-pue bhar ke thaal hain
pure bhagat unhen kaho sahab ke lal hain
aur jin ke aage roghni aur shir-mal hain
aarif wahi hain aur wahi sahab-kamal hain
pakki-pakai ab jinhen aati hain roTiyan
kapDe kisi ke lal hain roTi ke waste
lambe kisi ke baal hain roTi ke waste
bandhe koi rumal hain roTi ke waste
sab kashf aur kamal hain roTi ke waste
jitne hain rup sab ye dikhati hain roTiyan
roTi se nache pyaada qawaed dikha dikha
aswar nache ghoDe ko kawa laga laga
ghunghru ko bandhe paik bhi phirta hai nachta
aur is siwa jo ghaur se dekha to ja-ba-ja
sau sau tarah ke nach dikhati hain roTiyan
roTi ke nach to hain sabhi KHalq mein paDe
kuchh bhanD bhigte ye nahin phirte nachte
ye ranDiyan jo nache hain ghunghaT ko munh pe le
ghunghaT na jaano dosto tum zinhaar use
is parde mein ye apne kamati hain roTiyan
ashrafon ne jo apni ye zaten chhupai hain
sach puchhiye to apni ye shanen baDhai hain
kahiye unhon ki roTiyan kis kis ne khai hain
ashraf sab mein kahiye to ab nan-bai hain
jin ki dukan se har kahin jati hain roTiyan
duniya mein ab badi na kahin aur nikoi hai
ya dushmani o dosti ya tund-KHui hai
koi kisi ka aur kisi ka na koi hai
sab koi hai usi ka ki jis hath Doi hai
naukar nafar ghulam banati hain roTiyan
roTi ka ab azal se hamara to hai KHamir
rukhi hi roTi haq mein hamare hai shahd-o-shir
ya patli howe moTi KHamiri ho ya fatir
gehun jawar bajre ki jaisi ho 'nazir'
hum ko to sab tarah ki KHush aati hain roTiyan
Nazm
RoTiyan
Nazeer Akbarabadi