wahi bakra
mera mariyal sa bakra
jise bablu ke bakre ne bahut mara tha wo bakra
wo kal phir KHwab mein aaya tha mere
dahaDen mar kar rota hua
aur nind se uTh kar hamesha ki tarah rone laga main
KHata meri thi
main ne hi laDaya tha use bablu ke bakre se
use malum tha piTna hai us ko
magar phir bhi wo us moTe se ja kar bhiD gaya tha
meri izzat ki KHatir
wo bhi qurbani se bas kuchh der pahle
magar papa to kahte hain wo jannat mein bahut aaram se hoga
wahan angur kha kar KHub moTa ho gaya hoga
to kyun rota hai wo KHwabon mein aa kar
wo kyun rota hai aa kar KHwab mein ye to nahin malum mujh ko
mujhe to ye pata hai
wo jab jab KHwab mein rota hua aaya hai mere
to agle roz bablu ko bahut mara hai main ne
Nazm
Rota hua bakra
Shariq Kaifi

