main jaanna chahta hun
jab rome jal raha tha
tab wahan kaun kaun log maujud the
kis shaKHs ke kan bansuri ki aawaz par lage hue the
aur kis shaKHs ki aankhen
aag ki raushni mein chamak rahi thin
main jaanna chahta hun
kaun log nero ki nai-nawazi ki dad de rahe the
aur kaun aag ke shoalon ko hawa
kitne aaram-deh ghar is aag ki nazr ho gae
kitni aali-shan imaraten
rakh ka Dher ban gain
kitne logon ki haDDiyan
surme ki tarah bikhar gain
kitne dilkash badan
mom-batti ki tarah pighal gae
kitne razmiya Darame
kitne alamiya naghme
mayusi aur mohabbat ke kitne git
dil aawezi aur ummid ke kitne naqsh
nist-o-nabud ho gae
aag ki wahshat se ghabra kar
kitne KHwab safha-e-hasti se miT gae
rome ki is tabahi ka record
main chahta hun mujhe mil jae
ya kahin se un logon imaraton
aur chizon ki fihrist hi dastiyab ho jae
jo hamesha ke liye is aag mein talaf ho gain
ya phir itni si baat malum ho jae
jab ye aag lagi to
kaun kaun nero ke sath tha
aur kaun kaun rome ke
Nazm
Rome
Zeeshan Sahil