اردو हिंदी
Riwayat | Shaahi Shayari
riwayat

Nazm

Riwayat

Aadil Raza Mansoori

;

har roz
badal jata hai kuchh na kuchh

kamra
har hafte ashre mein

nae saliqe se sajaya jata hai
saman

waqt ke sath
badal jati hain

kuchh chizen bhi
magar

ek sath
sab kuchh

badalne ke liye
badalna hota hai

ghar