اردو हिंदी
Riwayat ki taKHliq | Shaahi Shayari
riwayat ki taKHliq

Nazm

Riwayat ki taKHliq

Akhtar Payami

;

mere naghme to riwayat ke paband nahin
tu ne shayad yahi samjha tha nadim

tu ne samjha tha ki shabnam ki KHunuk-tabi se
main tera rang mahal aur saja hi dunga

tu ne samjha tha ki pipal ke ghane sae mein
apne college ke hi ruman sunaunga tujhe

ek rangin si titli ke paron ke qisse
kuchh sehr-kar nigahon ke bayan

kuchh jawan sal adaon ke nishan
kuchh karunga lab o ruKHsar ki baaten tujh se

tu ne shayad yahi samjha tha nadim
tu ne ye kyun nahin samjha ki mere afsane

tanz ban kar teri sanson se ulajh jaenge
zindagi chand ki ThanDak hi nahin

zindagi garm mashinon ka dhuan bhi hai nadim
is dhuen mein mujhe zanjir nazar aati hai

mujh ko KHud teri hi taswir nazar aati hai
ghaur se dekh zara dekh to le

tujh ko Dar hai teri tahzib na jal jae kahin
mujh ko Dar hai ye riwayat na jal jaen kahin

phir ek din usi KHakistar se
ek nae ahd ki tamir to ho jaegi

ek insan naya ubhrega
subh aur sham ki milti hui sarhad ke qarib

apne chehre pe shafaq-zar ki surKHi le kar
ek insan naya ubhrega

mere naghme to riwayat ke paband nahin
main riwayat ki taKHliq kiya karta hun