اردو हिंदी
Rishton ki pahchan | Shaahi Shayari
rishton ki pahchan

Nazm

Rishton ki pahchan

Kumar Pashi

;

hamein sab pata hai
ki hum dhartiyon ke nirale fusun se

azal se shanasa hain
aur nil-gun aasmanon ka nashsha bhi

hum ne chakha hai
unhen gham yahi hai ki un ke saron par

koi aasman hai na panw ke niche zamin hai
faqat ek KHarida hua karb-e-qismat hai un ki

hamein sab pata hai
unhen lauTna hai pasheman ho kar

safar ke dukhon se pareshan ho kar
ki dharti ka aur aasmanon ka rishta

azal se purana hai
aur ek hi sut mein hum piroe hue hain