main kya jaanun kaun hai suraj kis nagri ka basi hai
kaisa sar-chashma hai jis se jiwan dhaara bahti hai
main kya jaanun kaun hai baadal kyun aawara phirta hai
kitne peD hare hote hain kitni kaliyan murjhati hain
ek nigah-e-lutf se us ki, us ke ek taghaful se
main kya jaanun shab ke gahre sannaTon mein
kitne tare TuT gae hain
kitni palken bhig chuki hain kitne aansu KHushk hue hain
sadiyon ke malbe ko haTa kar dekho
kitni ruhen apne apne panjar DhunD rahi hain
main kya jaanun kya hai duniya
insanon ki basti hai ya ek sara-e-fani hai
main to abhi bistar se uTha hun aur meri aankhon mein ab tak
KHwab ka sara manzar hai
mera pota chand mein baiTha apne beTe se kahta hai
dekho wo dharti hai us mein dada-abba rahte the
Nazm
Rishte
Mughni Tabassum